Thursday, September 2, 2010

Sach ki saza

Aajkal ka dour sach bolnay walay kay liye bohat talkh (karwa) ha.
Iski misal is baat say lay ja sakti hai kay aik dafa aik shaks nay apnay dost ko jo bohat aziz tha usay khush dekhnay ki khatir us kay agay bura ban jana munasib samjha takay wo dost usay chor kar apni life main agay barhay aur is masroof zindagi main enjoy karay aur sath hi kisi bhi waqt jhoot ka sahara na lay.
Bus kya hona tha jis shaks kay liye itna kuch kya wo he us say naaraz ho giya aur aik taraf ho gya aur sara ilzam is per laga dya kay is nay uska bhala nahi socha.
Sirf ghalti kya thi kay us nay sach bol dya

No comments:

Blog Archive